• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jo The Hath Mehndi Lagane Ke Qabil

Jo The Hath Mehndi Lagane Ke Qabil

riyaz-khairabadi

jo the haath mehndi lagane ke qabil

hue aaj khanjar uthane ke qabil

anadil bhi kaliyan bhi gul bhi saba bhi

ye sohbat hai hansne-hansane ke qabil

hina ban ke main chuum luun dast-e-nazuk

tire haath hain rang laane ke qabil

javani ka ab rang kuchh aa chala hai

vo ab ho chale hain satane ke qabil

mujhe dekh kar dukht-e-raz tan rahi hai

ye khinch kar hui hai udane ke qabil

qayamat men dekhenge kyunkar unhen ham

nahin sharm se aankh uthane ke qabil

banaen na ab us ko ab sham-e-mahfil

jala dil nahin hai jalane ke qabil

chaman men uda un ko ai bad-e-sarsar

mire tuute par hain udane ke qabil

bane shoale bijli ke qismat se meri

jo tinke the kuchh ashiyane ke qabil

budhape men sabit hue duzd-e-mai ham

na aane ke qabil na jaane ke qabil

ye kahti hai hazrat ki rish-e-hinai

‘riyaz’ ab bhi hain rang laane ke qabil

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Marhala Raat Ka Jab Aaega

sahir-ludhianvi

dur Rah Kar Na Karo Baat Qarib Aa Jao

Kya Qayamat Hai Ki Ek shaKHs Ka Ho Bhi Na Sakun

Hum Tera Saya the Saya Ho Ke

poet

Yun Na Pine Mein Basar Umr Ki Har Sham Karo

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet