dushman ki malamat bala hai
ye mom ka saanp katta hai
vasvas-e-hisab-e-hashr kya hai
gumnamon ko kaun puchhta hai
aalam mushtaq diid ka hai
vo but na dikhae munh khuda hai
vo sim-badan magar khafa hai
sona jo haram ho gaya hai
sar-ta-pa huun ba-rang-e-tasvir
kya zoaf ka rang jam gaya hai
qashqa khincha hai abruon men
do nimche ek par tula hai
mahfuz uftadgi ne rakkha
taaviz men naqsh-e-boriya hai
gardish se mili mujhe saadat
har aabla baiza-e-huma hai
jhadte hain phuul munh se ai gul
baton ka jhaad motiya hai
Leave a Reply