hausla shart-e-vafa kya karna
band mutthi men hava kya karna
jab koi sunta na ho bolna kya
qabr men shor bapa kya karna
qahr hai lutf ki surat abad
apni ankhon ko bhi va kya karna
dard thahrega vafa ki manzil
aks shishe se juda kya karna
dil ke zindan men hai aram bahut
vusat-e-dasht-numa kya karna
sham-e-kushta ki tarah ji liije
dam ghute bhi to gila kya karna
mere pichhe mira saaya hoga
pichhe mud kar bhi bhala kya karna
kuchh karo yuun ki zamana dekhe
shor galiyon men sada kya karna
Leave a Reply