na apna naam na chehra badal ke aaya huun
ki ab ki baar main rasta badal ke aaya huun
vo aur honge jo kar-e-havas pe zinda hain
main us ki dhuup se saaya badal ke aaya huun
zara bhi farq na paḌta makan badalne se
vo bam-o-dar vo daricha badal ke aaya huun
mujhe ḳhabar hai ki duniya badal nahin sakti
isi liye to main chashma badal ke aaya huun
vahi suluk vahi bhiik chahta huun main
vahi faqir huun kaasa badal ke aaya huun
mujhe batao koi kaam phir se karne ka
main apna ḳhuun pasina badal ke aaya huun
main ho gaya huun kisi niind ka shirakat-dar
main ik hasin ka takiya badal ke aaya huun
suno ki jonk lagai hai main ne patthar men
main ik nigah ka shisha badal ke aaya huun
mira tariqa mira khel hi nirala hai
na main zaban na lahja badal ke aaya huun
vahi asiir huun aur hai miri vahi auqat
main is jahan men pinjra badal ke aaya huun
Leave a Reply