banaya hai chidiyon ne jo ghonsla
so ek ek tinka ikattha kiya
gaya ek hi baar suraj na duub
magar rafta rafta hua hai ghurub
qadam hi qadam tai hua hai safar
gaiin lahze lahze men umren guzar
samundar ki lahron ka tanta sada
kinare se hai aa ke takra raha
samundar se dariya se uthti hai mauj
sada karti rahti hai dhava ye fauj
kararun ko akhir gira hi diya
chatanon ko bilkul safa-chat kiya
barasta jo menh musla-dhar hai
so ye nannhi bundon ki bauchhar hai
darakhton ke jhund aur jangal ghane
yunhi patte pate se mil kar bane
hue reshe reshe se ban aur jhaad
bana zarre zarre se mil kar pahad
laga daane daane se ghalle ka dher
pada lamhe lamhe se barson ka pher
jo ek ek pal kar ke din kat gaya
to ghadiyon hi ghadiyon baras ghat gaya
likha likhne vaale ne ek ek harf
huiin gaddiyan kitni kaghaz ki sarf
hui likhte likhte murattab kitab
isi par har ik shai ka samjho hisab
har ik ilm-o-fan aur kartab hunar
na tha pahle hi din se is dhang par
yunhi badhte badhte taraqqi hui
jo neza hai ab tha vo pahle sui
julahe ne joda tha ek ek taar
hue thaan jis ke gazon se shumar
yunhi phuiyon phuiyon bhare jhiil taal
yunhi kaudi kaudi hua jama maal
agar thoda thoda karo subh o shaam
bade se bada kaam bhi ho tamam
Leave a Reply