na faisla tumhara hai na faisla hamara hai
ye vaqt ke qazzaq ne chhupa ke tiir maara hai
faqih-e-shahr zindagi ki aankh ka jo nuur tha
vo main ne tere astan pe khvab la ke vaara hai
sitar-gan ki bazm men udaas chand dekhna
na-jane kaisa khvab hai na-jane kya ishara hai
hamen ye khvab titliyan talashna hain umr-bhar
ki haath khali nikle hain charagh hai na taara hai
pas-e-ghubar vaqt yuun pukarta hai kaun ye
ki hijr-o-gham ka silsila batao kyuun gavara hai
‘sajjad’ bhi malul hai ki qafila hai shaam ka
falak pe ek chand hai jo akhiri sahara hai
Leave a Reply