hamara mas.ala hal ho raha hai
ki ab ye shahr jangal ho raha hai
kisi ne apni naav kya utari
ye dariya jaise pagal ho raha hai
musalsal ruuh zaḳhmi ho rahi hai
badan mismar pal pal ho raha hai
main shiddat dhuup ki jab sah chuka huun
koi aise hi badal ho raha hai
in ankhon ki adam-e-dilchaspiyon se
hamara ḳhvab bojhal ho raha hai
miri sanson ka jaane kya banega
tira aana mo.attal ho raha hai
jahan ke aḳhiri hisse men huun ab
safar-nama mukammal ho raha hai
Leave a Reply