zaḳhmon ka ek silsila achchha nahin laga
jarrah ko ye tajraba achchha nahin laga
us ne kiya salam to achchha laga magar
bas ye ki munh ka zaviya achchha nahin laga
mere junun ko vasl ki qurbat nigal ga.i
furqat se itna fasla achchha nahin laga
tum ne jo matn pesh kiya mustanad to tha
lekin tumhara hashiya achchha nahin laga
a.ina-gar ke haath men patthar hain kis liye
”shayad unhen bhi aa.ina achchha nahin laga”
dasht-e-junun se aa ga.e shahr-e-ḳhirad men ham
dil ko magar ye saneha achchha nahin laga
‘ḳhalid’ suna jo ruuh ka naghma to phir kabhi
bulbul ko koi zamzama achchha nahin laga
Leave a Reply