tazkira chheḌ diya aap ne kyon jaane ka
ghar men naqsha nazar aane laga virane ka
jurm-e-ulfat nahin iz.har-e-tamanna lekin
haath phailana bhi sheva nahin divane ka
zulm ke ba.ad hua sabr ka darja raushan
gham kiya sham.a ne kis husn se parvane ka
dasht-gardi men gareban ke uḌaa.e purze
paanv ke saath chala haath bhi divane ka
ab samajh-bujh ke is daur men piina ai ‘jurm’
rang achchha nazar aata nahin maiḳhane ka
Leave a Reply