Ajib Raat Thi Wo Raat Mein Nahin Aaya

ajiib raat thī vo raat meñ nahīñ aayā

ki mere ḳhvāb-e-tilismāt meñ nahīñ aayā

vo is liye hī to aayā thā phuul khil jaa.eñ

phir is ke ba.ad vo bāġhāt meñ nahīñ aayā

maiñ chāhtā thā use chhū ke dekh luuñ lekin

vo āsmān mire haat meñ nahīñ aayā

vagarna tum se ta.alluq maiñ ḳhatm kar detā

pe intishār bayānāt meñ nahīñ aayā

gunah muaaf maiñ us ko ḳhudā banā baiThā

ḳhudā ḳhayāl-e-mulāqāt meñ nahīñ aayā

khule kivāḌ mire ghar ke bain karte rahe

koī bhī haath mire haat meñ nahīñ aayā

furāt tū ne bahattar kī tishnagī dekhī

tū phir bhī ḳhema-e-sādāt meñ nahīñ aayā

Leave a Comment