koi shikva tha shikayat thi gila tha kya tha
us ne jo kaan men chupke se kaha tha kya tha
bhuul kuchh mujh se hui thi ki ḳhata us ki thi
jo sabab tark-e-ta.alluq ka bana tha kya tha
sochta huun vo tha divana ki tha sauda.i
pyaar men tu ne jo ik naam diya tha kya tha
barha phone pe us ne jo kaha tha mujh se
samne kyuun vo mire kah na saka tha kya tha
aaj tak bhi na samajh paaya main ankhon men tiri
makr-e-rangin tha ki phir rang-e-vafa tha kya tha
tha agar ghair mujhe chhoḌ ke jaane vaala
kyuun ga.i raat main phir so na saka tha kya tha
us ki guftar men laghzish thi nigahen bechain
us ki ankhon men koi raaz chhupa tha kya tha
kyuun vo maghrur sar-e-bazm khaḌa tha ‘gauhar’
us ki fitrat thi ki daulat ka nasha tha kya tha
Leave a Reply