• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Shab Tum Jo Bazm-E-Ghair Mein Aankhen Chura Gae

Shab Tum Jo Bazm-E-Ghair Mein Aankhen Chura Gae

momin-khan-momin

shab tum jo bazm-e-ghair men ankhen chura gae

khoe gae ham aise ki aghyar pa gae

puchha kisi pe marte ho aur dam nikal gaya

ham jaan se inan-ba-inan sada gae

phaili vo bu jo ham men nihan misl-e-ghuncha thi

jhonke nasim ke ye naya gul khila gae

ai ab-e-ashk atish-e-unsur hi dekhna

ji hi gaya agar nafas-e-shola-za gae

majlis men us ne paan diya apne haath se

aghyar sabz-bakht the ham zahr kha gae

uttha na zof se gul-e-dagh-e-junun ka bojh

qarun ki tarah ham bhi zamin men sama gae

ghairon se ho vo parda-nashin kyuun na be-hijab

dam-ha-e-be-asar mire parda utha gae

thi bad-gumani ab unhen kya ishq-e-hur ki

jo aa ke marte dam mujhe surat dikha gae

tabinda o javan to bakht-e-raqib the

ham tira-roz kyuun gham-e-hijran ko bha gae

be-zar zindagani ka jiina muhal tha

vo bhi hamari laash ko thokar laga gae

vaaiz ke zikr-e-mehr-e-qayamat ko kya kahun

aalam shab-e-visal ke ankhon men chha gae

jis vaqt us dayar se aghyar-e-bul-havas

bad-khuiyon se yaar ke ho kar khafa gae

duniya hi se gaya main junhi naaz se kaha

ab bhi guman-e-bad na gae tere ya gae

ai ‘momin’ aap kab se hue banda-e-butan

baare hamare diin men hazrat bhi aa gae

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

asrarul-haq-majaz

Sharare

Wah Fusun-E-Ab-O-Gil

Sufi

Fikr Ka Gar Silsila Maujud Hai

poet

Khudaya Hind Par Teri Inayat Ho Inayat Ho

Dasht-E-Ghurbat Hai to Wo Kyun Hain KHafa Humse Bahut

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet