ai ‘zauq’ vaqt naale ke rakh le jigar pe haath
varna jigar ko roega tu dhar ke sar pe haath
chhoda na dil men sabr na aram ne qarar
teri nigah ne saaf kiya ghar ke ghar pe haath
khaae hai is maze se gham-e-ishq mera dil
jaise gurisna maare hai halva-e-tar pe haath
khat de ke chahta tha zabani bhi kuchh kahe
rakkha magar kisi ne dil-e-nama-bar pe haath
juun panch-shakha tu na jala ungliyan tabib
rakh rakh ke nabz-e-ashiq-e-tafta-jigar pe haath
qatil ye kya sitam hai ki uthta nahin kabhi
aa kar mazar-e-kushta-e-tegh-e-nazar pe haath
main na-tavan huun khaak ka parvane ki ghubar
uthta huun rakh ke dosh-e-nasim-e-sahar pe haath
ai shama ek chor hai baadi ye bad-e-subh
maare hai koi dam men tire taj-e-zar pe haath
ai ‘zauq’ main to baith gaya dil ko thaam kar
is naaz se khade the vo rakh kar kamar pe haath
Leave a Reply