masarrat ka hamesha ek hi aalam nahin hota
karam hota to hai un ka magar paiham nahin hota
ḳhushi ka gham jinhen hota hai samjho gham-nasib un ko
jinhen gham ki ḳhushi hoti hai un ko gham nahin hota
na le jaata jo majnun alam-e-divangi ham se
to us ka zikr-e-ḳhair afsana-e-alam nahin hota
kahan hai tu bura.i se bura.i miT nahin sakti
are ghafil andhere se andhera kam nahin hota
yahi vo vaqt hai jab aadmi ko hosh aata hai
ḳhuda ki yaad se ghafil Dil-e-pur-gham nahin hota
bura jab vaqt aata hai to is duniya-e-ulfat men
koi monis nahin hota koi hamdam nahin hota
tasalli se kabhi taskin-e-ḳhatir ho nahin sakti
junun-e-shauq baḌh jaata hai is se kam nahin hota
faza-e-bagh-e-hasti men ḳhizan bhi hai baharen bhi
kahan ḳhushiyan nahin hotin kahan matam nahin hota
nibah asan nahin duniya ki rasm-e-dost-dari ka
koi dam-saz hota hai to ham men dam nahin hota
fana ke ba.ad milta hai sukun-e-rahat-e-manzil
jahan shiraza-e-hasti kabhi barham nahin hota
koi milta hai jab rah-e-talab men rahbar-e-kamil
to ham ko duri-e-manzil ka bhi kuchh gham nahin hota
hamare ek dam par ek dam jo kuchh guzarti hai
mohabbat men kabhi aisa to ai hamdam nahin hota
tumhin imdad ko ‘ḳhushtar’ ki aa jaate ho mushkil men
sahara jab koi ai sarvar-e-alam nahin hota
Leave a Reply