• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jab Jab Bhi dekhiye Use Khun-Bar Si Lage

Jab Jab Bhi dekhiye Use Khun-Bar Si Lage

aabid-adeeb

jab jab bhi dekhiye use khun-bar si lage

duniya hamesha barsar-e-paikar si lage

har har nafas pe rang badalti hai zindagi

ik phuul si lage hai kabhi khaar si lage

chehra hai mere dost ka ya koi aaina

dekhun ulat-palat ke to bhi aarsi lage

aadat si pad gai hai use bolne ki tez

vo baat bhi kare hai to takrar si lage

tum saath ho to ham bhi bayaban ko ghar karen

ye sakht dhuup saya-e-divar si lage

har har qadam pe jaise ki bikta ho aadmi

basti tamam misr ke bazar si lage

‘abid’ tamam shahr pe aalam hai kaun sa

har ek shakl naqsh-ba-divar si lage

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Apne Dil Ko Sambhaal Sakta Hun

Main Wo Aansu Ki Jo Mala Mein Piroya Jae

Wal-Asr Zamana Mere Matlab Ka Nahin Hai

asrarul-haq-majaz

Aasman Tak Jo Nala Pahuncha Hai

Mahfil Mein Us Pe Raat Jo Tu Mehrban Na Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet