chaman sa dasht ta-hadd-e-nazar kitna hasin hai
tu mera ham-qadam hai to safar kitna hasin hai
miri janib lapakti manzilon se puchh lena
kisi ke saath chalne ka hunar kitna hasin hai
vo mere samne baitha hua hai mera ho kar
dua-e-nim-shab ka ye asar kitna hasin hai
zahe qismat ki saaye daar bhi hai ba samar bhi
mire sar par mohabbat ka shajar kitna hasin hai
ajab khvab ashna ankhen hui hain vasl ki shab
khuli hai aankh to rang-e-sahar kitna hasin hai
main hansti khelti huun jis ke khvab na-rasa men
mira ehsas hasrat hai magar kitna hasin hai
nahin hai ‘naz’ kam jannat se mera ashiyana
mohabbat se muzayyan mera ghar kitna hasin hai
Leave a Reply