jabin-e-shauq par koi hua hai mehrban shayad
pae sajda bulata hai kisi ka astan shayad
dam-e-naza vo aae aur ziyarat ho gai un ki
mukammal ho gai ab zindagi ki dastan shayad
khizan ka naam anjam-e-baharan ki khabar sun kar
gulistan se kinara-kash hua hai baghban shayad
hansa karte hain akasr log divanon ki baton par
jahan vaale nahin samjhe mohabbat ki zaban shayad
haram se mujh ko raghbat hai na but-khane se dilchaspi
mire sajdon ki qismat men hai un ka astan shayad
mohabbat mustaqil ik gham hai jis ko janta huun main
miri duniya men koi bhi nahin hai shadman shayad
qafas tak aa gae udte hue tinke nasheman ke
hava ke dosh par aaya yahan tak ashiyan shayad
jabin-e-bandagi jis dam banai khaliq-e-kul ne
usi ke saath daali hai bina-e-astan shayad
vafadari ghurur-e-be-rukhi ko khatm kar degi
ziyada to nahin kuchh din rahen vo bad-guman shayad
jo dushman kah raha hai sab ghalat us ko samajhte hain
haqiqat men vahi hai be-haqiqat dastan shayad
jahan-e-dil to hai nazdik ‘vasil’ duur kyuun jaao
isi duniya men rahta hai tumhara mehrban shayad
ijazat bazyabi ki na de vo pasban shayad
na pahunche khvab-gah-e-naz tak meri fughan shayad
Leave a Reply