vaise to the yaar bahut par kisi ne mujhe pahchana tha
tum ne bas ik samjha mujh ko tum ne bas ik jaana tha
tum bin sajni jivan apna suuna angan TuuTa sapna
dil ko tum se raah thi utni ham ne kab ye jaana tha
main to paapi meri ḳhatir apna sab kuchh daan kiya kyuun
duniya jaisi pyari basti aise chhoḌ ke jaana tha
maut aur dil par kisi ko qaabu aa.e to apni marzi aa.e
meri ḳhatir jaan ganvana yaaro ek bahana tha
main ne yaaro tum se suna tha vaqt ka marham bhar de har gham
agli pichhli saari baten mujh ko bhuul hi jaana tha
bhor ka bichhḌa sanjh ko lauTa apne kiye par pahron roya
dil ki biina TuuT ga.i thi phir bhi tum ko gaana tha
Leave a Reply