Rahi Firaq Mein Bhi Shakl Ru-Ba-Ru Teri

rahī firāq meñ bhī shakl rū-ba-rū terī

shabīh khīñchī tasavvur ne hū-ba-hū terī

muaaf rakh jo hai gul-hā-e-tar se pyaar mujhe

ki un meñ rang tirā kuchh hai kuchh hai bū terī

nasīm-e-sub.h kā jhoñkā nafas nafas terā

rahegī soḳhta-jānoñ ko aarzū terī

ye faḳhr kam hai ki ham qābil-e-ḳhitāb to haiñ

aziiz aur ke alqāb se hai tū terī

dahān-e-ġhuncha-e-tar se zabān-e-sausan se

chaman chaman meñ sunī maiñ ne guftugū terī

dil-o-jigar phuke jaate haiñ soz-e-hijrāñ se

lagan azaab huī mujh ko sham.a-rū terī

kahāñ kahāñ tire ‘mahrūm’ ko ba-qaul-e-‘surūr’

kashāñ kashāñ liye phirtī hai justujū terī

Leave a Comment