• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ghunche Ne Taj Gul Ne Kiya Pairahan durust

Ghunche Ne Taj Gul Ne Kiya Pairahan durust

poet

ghunche ne taaj gul ne kiya pairahan durust

shadi bahar ki hai hua hai chaman durust

paigham-e-rustakhez hai aamad bahar ki

mar kar hui hai nargis-e-bimar tandurust

rakkha dahan-e-tang ne matlab ko na-tamam

nikla tumhare munh se na koi sukhan durust

gul jalva-gar hain amad-e-fasl-e-bahar hai

kar baghban nasheb-o-faraz-e-chaman durust

paivand-e-mehr-o-mah lagata hai roz-o-shab

karta hai charkh-e-pir rida-e-kuhan durust

dast-e-junun ne qaid-e-taalluq se di najat

pahuncha na ek ta-ba-gulu pairahan durust

karti hai jama bad-e-saba khaak muntashir

hota hai phir nishan-e-mazar-e-kuhan durust

hoti hain josh-e-ishq men jo jo shikayaten

kahta hai naaz se vo but-e-sim-tan durust

farhad ne fareb-e-mohabbat men jaan di

samjha ki hai muamala-e-pir-zan durust

saaqi bhala ho khair subu koi jaam de

rakkhe khuda hamesha tiri anjuman durust

nahaq kharash zakhm ki deta hai zinaten

karta hai shana zulf-e-but-e-sim-tan durust

kis rashk-e-gul ki shohrat-e-nazzargi hai aaj

karte hain ghuncha-ha-e-chaman pairahan durust

zang-e-dui se aina-e-dil hai pak-o-saf

rahta hai apna gosha-e-bait-ul-huzan durust

be-faeda hain charagaron ki mashaqqaten

hote nahin hain ishq ke bimar-tan durust

chata hai ek umr luab-e-zaban-e-tegh

zakhmon ke muddaton men hue hain dahan durust

badlun radif aur ki ji bhar gaya ‘nasim’

ho aur tarah zulf-e-urus-e-sukhan durust

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Munim Na Hath Khinch Madad Se Gharib Ki

abdul-mannan-tarzi

Kya Yahan dekhiye Kya Wahan dekhiye

ahmad-hamdani

dilon Ko Ranj Ye Kaisa Hai Ye Khushi Kya Hai

poet

Tamannaen Aziyyat Ka Nazara Hum Na Kahte The

Mil Gaya Jab Wo Nagin Phir KHubi-E-Taqdir Se

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet