ḳhud ko kitni der manana paḌta hai
lafzon ko jab rang lagana paḌta hai
choTi tak pahunchi rahon se sikho bhi
kaise parvat kaaT ke aana paḌta hai
bachchon ki muskan bahut hi mahngi hai
do do paise roz bachana paḌta hai
sach ka kapḌa phuul se halka hota hai
jhuuT ka parvat laad ke jaana paḌta hai
suraj ko gaali dene ka fashion hai
chhanv ki ḳhatir peḌ lagana paḌta hai
dil ka kya hai jo kah do sun leta hai
ankhon ko aksar samjhana paḌta hai
Leave a Reply