piya karte hain chhup kar shaiḳh ji rozana rozana
chale aate hain aadhi raat ko mai-ḳhana rozana
mohabbat jaan bhi deti hai tarsati bhi hai yaaro
kabhi paimana barson men kabhi paimana rozana
pareshan huun kanval jaisi ye ankhen chuum lene do
ki in phulon pe manDlayega ye bhaunra na rozana
sharabon ko na jaane log kyuun badnam karte hain
ki main to mar gaya hota agar piita na rozana
kabhi chilman uTha kar dekh to lo baat mat karna
ki dil thame hue aata hai ik divana rozana
kisi din bazm-e-saqi se nikale jaoge ‘qaisar’
nibhaoge kahan tak ThaTh ye shahana rozana
Leave a Reply