TuuTe hue ḳhvabon ki chubhan kam nahin hoti
ab ro ke bhi ankhon ki jalan kam nahin hoti
kitne bhi ghanere hon tiri zulf ke saa.e
ik raat men sadiyon ki thakan kam nahin hoti
honTon se piyen chahe nigahon se chura.en
zalim tiri ḳhushbu-e-badan kam nahin hoti
milna hai to mil jaao yahin hashr men kya hai
ik umr mire va.ada-shikan kam nahin hoti
‘qaisar’ ki ghazal se bhi na TuuTi ye rivayat
is shahr men na-qadri-e-fan kam nahin hoti
Leave a Reply