har ghaḌi fikr-e-rasti kya hai
ik musibat hai zindagi kya hai
ghup andhera hai mere charon-or
is men thoḌi si raushni kya hai
bahut uljha hua hisab hai ye
mera khata hai kya bahi kya hai
naam hain nafs ki parastish ke
dosti kya hai dushmani kya hai
shahr men rah ke dekhiye ik din
duur jangal men rahebi kya hai
saari baton ka main musannif huun
mere aage likhi suni kya hai
main ne dekha hai ḳhuun ki sham.on se
gum-rahi kya hai rah-ravi kya hai
ahd-e-piri men apni lauh-e-zamir
saaf ho gar to khusravi kya hai
ye tazadat ye sarab ye dil
zindagi kya hai aadmi kya hai
band ashkal men muqayyad huun
aql kis kaam agahi kya hai
sochta huun to kuchh nahin khulta
janta huun magar badi kya hai
dil men vasvas ya-ali kyuun hai
sar-e-mahjub ya-nabi kya hai
Leave a Reply