agar chubhti hui baton se Darna paḌ gaya to
mohabbat se kabhi tumko mukarna paḌ gaya to
tiri bikhri hui duniya sameTe ja raha huun
agar mujhko kisi din ḳhud bikharna paḌ gaya to
zaḳhira pusht par bandha nahin tumne hava ka
kahin gahre samundar men utarna paḌ gaya to
vo mujhse duur hota ja raha hai rafta rafta
agar us ko kabhi mahsus karna paḌ gaya to
tum is raste men kyuun barud bo.e ja rahe ho
kisi din is taraf se ḳhud guzarna paḌ gaya to
bana rakha hai mansuba ka.i barson ka tu ne
agar ik din achanak tujhko marna paḌ gaya to
tumhari zid hai ‘asim’ vo nikhare husn apna
agar us ke liye tum ko sanvarna paḌ gaya to
Leave a Reply