kisi bhi kaam ka mera hunar nahin na sahi
hava-e-dahr muafiq agar nahin na sahi
kuaan hai aur sabhi naqidan-e-sher-o-adab
mire kalam pe un ki nazar nahin na sahi
ye teri bazm hai yaan tera sikka chalta hai
koi bhi baat miri mo’tabar nahin na sahi
yahi bahut hai ki kuchh log sochne to lage
koi bhi mera agar ham nazar nahin na sahi
hava ka kya hai hava ruḳh badalti rahti hai
tiri nigah agar aaj idhar nahin na sahi
dilon se uThne lagi hain ajab ajab lahren
kisi bhi aankh men koi ḳhabar nahin na sahi
ilaaj men to na main koi kasar chhoḌunga
kisi dava men bhi koi asar nahin na sahi
shajar laga.e hain main ne ye kam nahin e.azaz
mire nasib men ‘ruhi’ samar nahin na sahi
Leave a Reply