hava-e-zindagi bhi kucha-e-qatil se aati hai
samajh is baat ki lekin zara mushkil se aati hai
yunhi hoti nahin hai vus.at-e-fikr-o-nazar paida
basarat men basirat dar-haqiqat dil se aati hai
kamal-e-ishq ka yuun bhi kabhi andaz hota hai
su-e-parvana sham.a chal ke ḳhud mahfil se aati hai
ḳhayalon men gham-e-sud-o-ziyan kuchh bhi nahin rahta
mohabbat ki ye ḳhubi sa.i-e-la-hasil se aati hai
vo aalam kaun sa aalam hai jo pinhan nahin mujh men
jo gosh-e-fikr va ho ye sada bhi dil se aati hai
koi tufan bas aane hi vaala hai samundar men
ki bu is baat ki ḳhamoshi-e-sahil se aati hai
nigahen qais ki yuun hi nahin hain mahv-e-nazzara
ziya laila ki hai jo parda-e-mahmil se aati hai
nahin aati hai jab ye to kisi par bhi nahin aati
magar aati hai jab apni tabi.at dil se aati hai
nahin rahta tafavut jab visal-o-hijr men kuchh bhi
ye manzil intizar-e-shauq men mushkil se aati hai
lahu ki chhinT tak qatil ke daman par nahin koi
taḌapne ki ada aisi baḌi mushkil se aati hai
Leave a Reply