jab kabhi main udaas hoti huun
ik hujum ansuon ka palkon par
muntazir izn ko tadpata hai
kya karun main samajh nahin aata
kis tarah se tumhari yadon ko
surat-e-ashk men baha dalun
kya kahun ik ghutan ka aalam hai
main huun tanhai aur tiri yaden
har ghadi dil ko aarzu hai yahi
jo abhi tak nahin hua janan
kaash aisa kabhi to ho jaae
yaad aae na teri us se qabl
tu mire samne chala aae
Leave a Reply