• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hansi Gulon Mein Sitaron Mein Raushni Na Mili

Hansi Gulon Mein Sitaron Mein Raushni Na Mili

hansi gulon men sitaron men raushni na mili

mile na tum to kahin bhi hamen ḳhushi na mili

na chand men na shafaq men na lala-o-gul men

jo aap men hai kahin bhi vo dilkashi na mili

nigah lutf ki hai muntazir miri shab-e-gham

sitare Duub chale aur raushni na mili

hamin ko saunp diye kul jahan ke ranj-o-alam

kisi men aur hamari si dil-dahi na mili

nigah-e-dost ne baḳhshi jo dil ko mad-hoshi

sharab-o-jam se ham ko vo be-ḳhudi na mili

har ik nashat men pinhan mila nashat ka gham

jo aish se ho basar aisi zindagi na mili

mire ḳhayal men hain ye tajalliyan kis ki

andheri raat men bhi mujh ko tirgi na mili

vahi faza vahi gulshan vahi hava hai magar

mili jo gul ko vo ḳharon ko zindagi na mili

gila karenge na ab mere ba.ad ke rahrav

ki un ko rah-e-mohabbat men raushni na mili

hazar baar hua ḳhun-e-arzu lekin

kabhi kisi ko miri aankh men nami na mili

jo chheḌti mire betab dil ke taron ko

kisi bhi saaz men darshan vo naghmagi na mili

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hum Kaamyab Ho Ke Bhi Nakaam Rah Gae

Hamein Apni Masafat Be-Maza Karna Nahin Hai

ahmad-hamesh

Na Ghar Hai Koi Na Saman Kuchh Raha Baqi

poet

dholaki dham-dhami Khanjri Bhi Bajaani Jaani

Suraj Ko Ehsas Dilaya Ja Sakta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet