tū kare jo faisla aaj kar mirī baat sun tū abhī na jā
mire dard-e-dil kā ilaaj kar mirī baat sun tū abhī na jā
abhī jaane jaane kī zid na kar yahāñ rūThā rūThā hai saarā ghar
kabhī ḳhush to merā mizāj kar mirī baat sun tū abhī na jā
maiñ marīz huuñ tire hijr kā zarā haath meñ mirā haath le
tū ġhamoñ kā mere ilaaj kar mirī baat sun tū abhī na jā
basī rañg-o-nūr meñ zindagī hai javān shab to fazā hasīñ
mire jān-o-dil pe tū raaj kar mirī baat sun tū abhī na jā
tū chhalakte ashkoñ ko dekh le zarā sun le ye mirā hāl-e-dil
yuuñ na saḳht apnā mizāj kar mirī baat sun tū abhī na jā
kyā hasīn rāhguzar hai ye baḌī lazzatoñ kā safar hai ye
na ḳhayāl-e-taḳhta-o-tāj kar mirī baat sun tū abhī na jā
ye duā hai ‘arpit’-e-ḳhās kī zarā dekh le zarā soch le
tū zarā zamāne kī laaj kar mirī baat sun tū abhī na jā