
Ghayas Anjum
pahunch kar shab ki sarhad par ujala Duub jaata hai
na ho jis ka koi vo be-sahara Duub jaata hai
jise gaata hai koi barabt-e-sad-chak-daman par
faza-e-be-yaqini men vo naghma Duub jaata hai
yahan to dil ki baten hain hamara tajraba hai ye
jo sat.h-e-ab par rakhiye to paisa Duub jaata hai
ta.alluq der se mazbut karta hai jaḌen apni
zara si chuuk se sadiyon ka rishta Duub jaata hai
tiri yadon ki duniya se kabhi jo duur hota huun
udasi gher leti hai nazara Duub jaata hai
na jaane kya ho tere shahr men ab ja ke dekhunga
yahan to apni qismat ka sitara Duub jaata hai
ubal paḌta hai aafat ka kahin laava to phir ‘anjum’
gham-o-andoh men ma.asum chehra Duub jaata hai

Leave a Reply