ḳhizan chaman men yuun mastana-var guzri hai
guman ye hota hai jaise bahar guzri hai
faza udaas gali muzmahil chaman pamal
bahar ab ke ḳhizan darkinar guzri hai
abhi vahi kahin guzre na hon udhar ho kar
shamim-bez hava itr-bar guzri hai
zahe tasavvur-e-janan zahe ḳhayal-e-jamal
har ek saans miri mushk-bar guzri hai
tire karam se hamesha raha hai dil shadab
mire chaman se hamesha bahar guzri hai
lubha sakegi mujhe kya kisi ki ra.ana.i
miri nazar se tumhari bahar guzri hai
inayat aap ki vaj.h-e-sukun to hai lekin
main kya karun ki tabi.at pe baar guzri hai
guzar rahi hai ‘mubarak’ guzar hi ja.egi
vo zindagi jo bahut nagavar guzri hai
Leave a Reply