mire zaḳhm-e-jigar ko zaḳhm-e-daman-dar hona tha
zara vazeh tumhare lutf ka iz.har hona tha
dil-e-pur-dagh ki tarikiyon par saḳht hairat hai
ye vo matl.a hai jis ko matla-e-anvar hona tha
tumhen lena tha pahle ja.eza apni nigahon ka
phir us ke ba.ad muusa talib-e-didar hona tha
pareshan hain misal-e-gard-gumnami ke sahra men
bahut aise ki jin ko qafila-salar hona tha
udhar vo aa.e ankhon men idhar ḳhvab-e-ajal aaya
kahan soi hui taqdir ko bedar hona tha
koi dekhe to ‘fazil’ qabiliyyat baghbanon ki
vahan kanTe hi kanTe hain jahan gulzar hona tha
Leave a Reply