bahr-e-hasti se bhi ji ghabra gaya
be-kasi bas ab kinara aa gaya
kam hua karte hain aise ḳhush-nasib
tujh pe mar kar jin ko jiina aa gaya
mera miT jaana tamasha tha koi
aap se ye kis tarah dekha gaya
dukh bure dil ki kahani kuchh na puchh
phuul ke hansne pe rona aa gaya
sub.h karna sham-e-gham ka al-aman
sham.a ko danton pasina aa gaya
ḳhush raho tum chal basa bimar-e-gham
umr-bhar ki uljhanen suljha gaya
rah-e-ulfat men hai marna zindagi
dard manzil tak mujhe pahuncha gaya
mausam-e-gul bhi hai ankhon men ḳhizan
dil hi kya baiTha chaman murjha gaya
vo hue kya aankh se ‘arif’ nihan
saari duniya men andhera chha gaya
Leave a Reply