• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kuchh To Hawa Bhi Sard Thi Kuchh Tha Tera Khayal Bhi

Kuchh To Hawa Bhi Sard Thi Kuchh Tha Tera Khayal Bhi

parveen-shakir

kuchh to hava bhi sard thi kuchh tha tira khayal bhi

dil ko khushi ke saath saath hota raha malal bhi

baat vo aadhi raat ki raat vo puure chand ki

chand bhi ain chait ka us pe tira jamal bhi

sab se nazar bacha ke vo mujh ko kuchh aise dekhta

ek dafa to ruk gai gardish-e-mah-o-sal bhi

dil to chamak sakega kya phir bhi tarash ke dekh len

shisha-giran-e-shahr ke haath ka ye kamal bhi

us ko na pa sake the jab dil ka ajiib haal tha

ab jo palat ke dekhiye baat thi kuchh muhal bhi

meri talab tha ek shakhs vo jo nahin mila to phir

haath dua se yuun gira bhuul gaya saval bhi

us ki sukhan-taraziyan mere liye bhi dhaal thiin

us ki hansi men chhup gaya apne ghamon ka haal bhi

gaah qarib-e-shah-rag gaah baid-e-vahm-o-khvab

us ki rafaqaton men raat hijr bhi tha visal bhi

us ke hi bazuon men aur us ko hi sochte rahe

jism ki khvahishon pe the ruuh ke aur jaal bhi

shaam ki na-samajh hava puchh rahi hai ik pata

mauj-e-hava-e-ku-e-yar kuchh to mira khayal bhi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Din Kai Din Chhupa Raha Jaise

parveen-shakir

Apni Ruswai Tere Nam Ka Charcha dekhun

KHWAJA GHULAM FARID

Har Surat Wich Aawe Yar

qateel-shifai

Ab To Be-dad Pe Be-dad Karegi duniya

Ye Gham Phir Se Ubharta Ja Raha Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet