kya baat thi ki us ko sanvarne nahin diya
a.ina haath men tha nikharne nahin diya
tufan men phanse to kinare tak aa ga.e
sahil ne un ko phir bhi ubharne nahin diya
is daur-e-pur-fitan men saliqe se TuuT kar
TuuTe to roz hi pe bikharne nahin diya
ham ne amir-e-shahr ko sajda nahin kiya
ḳhuddari-e-mizaj ne girne nahin diya
radd-o-qadah ke ba.ad ‘vasiya’ ne aaj bhi
me.aar se ghazal ko utarne nahin diya
Leave a Reply