dhuan bana ke faza men uḌa diya mujh ko
main jal raha tha kisi ne bujha diya mujh ko
taraqqiyon ka fasana suna diya mujh ko
abhi hansa bhi na tha aur rula diya mujh ko
main ek zarra bulandi ko chhune nikla tha
hava ne tham ke zamin par gira diya mujh ko
safed sang ki chadar lapeT kar mujh par
fasil-e-shahr pe kis ne saja diya mujh ko
khaḌa huun aaj bhi roTi ke chaar harf liye
saval ye hai kitabon ne kya diya mujh ko
na jaane kaun sa jazba tha jis ne ḳhud hi ‘nazir’
miri hi zaat ka dushman bana diya mujh ko
Leave a Reply