amaan mili na kisi ko mila qarar kabhi
koi bhi apni zamin se na ho farar kabhi
baTe.ge ham bhi qabilon men ye na socha tha
milega ḳhauf-zada aisa regzar kabhi
jo ham-safar hain hamare vo pur-ḳhulus nahin
na rahbar pe raha ham ko e’tibar kabhi
yaqin na aaya ki sadiyan guzar diin jis par
us ek shaḳh ko kaTega apna yaar kabhi
main chal diya huun ai ‘manzar’ to is yaqin ke saath
koi na ja.ega is tarah su-e-dar kabhi
Leave a Reply