• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Ek Nazm Roz Aati Hai

Ek Nazm Roz Aati Hai

azra-abbas

vo aati hai

roz mere bahut qarib

mujhe sahlati hai

gudgudati hai

utho… utho…

main hairat aur khushi se

use dekhti huun

tum kab ain?

abhii… abhi to aai huun…

vo mere siine par apna sar rakh deti hai

mere pistanon se khelti hai

mere honton ko chusti hai

meri naaf ke niche

bahut niche…

meri saans uupar ki uupar rah jaati hai

main kunvariyon ki tarah

tilmilati huun

bal khati huun

vo mujhe uthati hai

mere kapde ek ek kar ke utarti hai

vo meri ankhon men ankhen daal kar

hansti hai

uttho…

main badbadati rahti huun

aisi hi be-sudh

hairat se aur khushi se

uttho…

vo meri gardan men banhen daal kar

kahti hai

vo mujhe duur se dekhti hai

aur canvas par miri madar-zad

tasvir banati hai

main be-sudh padi rahti huun

is dar se ki kahin vo chali na jaae

main use dubona chahti huun

ek hi vaar par us par chadh daudna

us par bilbila kar hamla karna

main bhi chahti huun… use aise hi

apni giraft men le aauun

lekin is se pahle ki

main harakat karun

vo chham-chham karti

khidki ya darvaze se bahar

bhaag jaati hai

main be-sudh

hairat aur khauf se

aur malamat se

ankhen phade use dekhti

rahti huun

vo chali jaati hai

roz aisa hi hota hai

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Maulana Rumi

Talib-O-Matlub

Gili miTTi Se Badan Bante Hue Umr Lagi

poet

Tama Ka Daur Hai Hatim Ata Kar

Chain Milta Nahin Ghar Mein Bhi Qayamat Kya Hai

rahat-indori

Na Ham-Safar Na Kisi Ham-Nashin Se Niklega

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet