• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aage Kuchh Uske Zikr-E-Dil-E-Zar Mat Karo

Aage Kuchh Uske Zikr-E-Dil-E-Zar Mat Karo

poet

aage kuchh us ke zikr-e-dil-e-zar mat karo

sab ḳhairiyat hai us se kuchh iz.har mat karo

jaane do jo nasib men hona tha so hua

yaaro ḳhuda ke vaste takrar mat karo

a.ina le ke pahle tanik saj to dekh lo

milne ka ghair ke abhi inkar mat karo

sar chaḌh raha hai kaal yunhi ashiqon ke yaan

paTTi se tum ye baal numudar mat karo

ai ah-o-nala chhup ke main aaya huun is jagah

aalam ko shor kar ke ḳhabar-dar mat karo

apni bisat men to yahi jins-e-dil hai yaan

go ab pasand is ko ḳharidar mat karo

pyare kamar kahan hai tumhare yunhi ba-zan

sun kar kisi se jhuuT par israr mat karo

‘qa.em’ vo tab kahe tha shab ahval-e-ḳhalq dekh

mujh sa to haq kisi ko trahdar mat karo

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Justuju Se KHuda Mila Ki Nahin

akbar-allahabadi

Aam-Nama

Is Tarah baiThe Ho Kyun Be-Zar Se

asrarul-haq-majaz

Nau-Jawan Khatun Se

Kisi Bahane Sahi Dil Lahu to Hona Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet