charagaron ne bandh diya mujh ko bakht se
chhanv mili na mujh ko dua ke darakht se
baitha tha main hisar-e-falak men zamin par
dushman ne fat.h khinch li meri shikast se
main bhi to tha farefta khud apne-ap par
shikva karun main kya dil-e-nargis-parast se
girya ki saltanat mujhe degi shikast kya
chhini hai main ne zindagi paani ke takht se
harf-e-dua pe gosh-bar-avaz ho vo kyuun
dil se kalam hota hai maston ke mast se
hamd-o-sana sukhan ka nahin dil ka hai riyaz
kaise sana karun main dil-e-lakht-lakht se
ahl-e-khirad ise na samajh paenge ‘faqih’
kuchh masale hain mavara fat.h o shikast se
Leave a Reply