zamin pe aag falak par dhuan dikhai diya
mira vajud kahin darmiyan dikhai diya
har ek samt yaqin ki naqab odhe hue
har ek paikar-e-vahm-o-guman dikhai diya
siyah chand sitare siyah suraj tha
suna hai us ko ajab ik saman dikhai diya
vo mera main tha ki main tha ya mera saaya tha
kal aaine men koi bad-guman dikhai diya
adhuri shakl adhuri nazar adhura vajud
ajiib shakhs mujhe kal vahan dikhai diya