aaj hi fursat se kal ka masala chhedunga main
masala hal ho to hal ka masala chhedunga main
vasl o hijran men tanasub raast hona chahiye
ishq ke radd-e-amal ka masala chhedunga main
dekhna sab log mujh ko kharji thahraenge
kal yahan jang-e-jamal ka masala chhedunga main
kashtiyon vaale mujhe tavan de kar paar jaaen
varna lahron men khalal ka masala chhedunga main
mil hi jaenge kahin to mujh ko ‘bedil-haidari’
kuza-gar vaali ghazal ka masala chhedunga main
is shajar ki ek tahni parle angan men bhi hai
apne ham-sae se phal ka masala chhedunga main
Leave a Reply