phir ruk nahin saka huun kisi bhi chaTan se
aisa gira huun roz-e-azal asman se
hai jabr men bhi ek guman iḳhtiyar ka
do chaar har qadam pe hon ik imtihan se
ab main huun aur havaon ki sazish ka samna
ik tiir huun chala huun qaza ki kaman se
ik aa.ina ki jis men kahin baal paḌ gaya
ik silsila ki TuuT gaya darmiyan se
gum-sum khaḌe hain ab dar-o-divar aur main
vo log kab ke ja bhi chuke hain makan se
ḳhushiyan jo mujh ko mil na sakin is jahan men
mujh ko bula rahi hain na.e ik jahan se
is baat ka ‘jamil’ mujhe kuchh pata nahin
iqrar kar raha huun main jis ka zaban se
Leave a Reply