qadam qadam pe gire uTThe baar baar chale
tamām umr isī taur ham guzār chale
zamāna guzrā ki dil nazr-e-hādsāt huā
ab ek jaañ thī use zindagī pe vaar chale
fuzūñ kuchh aur huā bandishoñ se josh-e-junūñ
rihā hue jo qafas se to sū-e-dār chale
adā-e-laġhzish-e-rindān-e-bāda-mast kahāñ
machal machal ke nasīm-e-chaman hazār chale
rukūñ to gardish-e-shām-o-sahar Thahar jaa.e
chalūñ to saath har ik naqsh-e-rahguzār chale
jale charāġh khile gul ubal paḌe naġhme
jahāñ jahāñ tire dhoke meñ ham pukār chale
huā to ḳhūn-e-dil-o-jān-o-ārzū ‘at.har’
mazāq-e-ahl-e-mohabbat magar sañvār chale