takallum jo koi karta hai faani
hamari aur tumhari hai kahani
junun men yaad hai ik bait-e-abru
kahan hai ab dimagh-e-sher-khvani
maal-e-ashiq o mashuq hai ek
suna hai sham-e-sozan ki zabani
nishan ham be-nishanon ka na paaya
saba ne muddaton tak khaak chhani
vo ashiq huun na aae niind mujh ko
sunun jab tak na yusuf ki kahani
nahin bachta hai bimar-e-mohabbat
suna hai ham ne ‘goya’ ki zabani
Leave a Reply