koi mausam bhi hasb-e-hal nahin
phir bhi dil men koi malal nahin
ho gae zakhm is qadar manus
koi tadbir-e-indimal nahin
shikva-e-dil men raat biit gai
hijr se kam tira visal nahin
ab zara der ko thahar jaao
ab sitaron ki vaisi chaal nahin
laakh tamsilen istiare hon
phir bhi teri koi misal nahin
zabt hai didani sukhan mera
mire chehre pe ishtial nahin