husn par jan-nisar karta huun
sham.a-ruon ko pyaar karta huun
aap ke ishq ne jo baḳhshe hain
un ghamon ka shumar karta huun
aah iman-parast ho kar bhi
ek kafir se pyaar karta huun
mujh pe vo mashq-e-naz karte hain
shukr-e-parvardigar karta huun
dil ko har dam fareb deta huun
aap ka intizar karta huun
go tira ahd ahd-e-batil hai
phir bhi main e’tibar karta huun
gul-ruḳhon ki ada ada pe ‘naresh’
main dil-o-jan nisar karta huun
Leave a Reply