Dil Ke Sahra Mein Koi Aas Ka Jugnu Bhi Nahin

dil ke sahrā meñ koī aas kā jugnū bhī nahīñ

itnā royā huuñ ki ab aañkh meñ aañsū bhī nahīñ

itnī be-rahm na thī ziist kī dopahr kabhī

in ḳharāboñ meñ kahīñ sāya-e-gesū bhī nahīñ

kāsa-e-dard liye phirtī hai gulshan kī havā

mere dāman meñ tire pyaar kī ḳhushbū bhī nahīñ

chhin gayā merī nigāhoñ se bhī ehsās-e-jamāl

terī tasvīr meñ pahlā sā vo jaadū bhī nahīñ

mauj-dar-mauj tire ġham kī shafaq khiltī hai

mujh ko is silsila-e-rañg pe qaabū bhī nahīñ

dil vo kam-baḳht ki dhaḌke hī chalā jaatā hai

ye alag baat ki tū zīnat-e-pahlū bhī nahīñ

ye ajab rāhguzar hai ki chaTāneñ to bahut

aur sahāre ko tirī yaad ke baazū bhī nahīñ

hādisa ye bhī guzartā thā mirī jaañ ham par

paikar-e-sañg haiñ do, maiñ bhī nahīñ tū bhī nahīñ

Leave a Comment