tanha qamar ko chhoḌ ke taare chale ga.e
ghurbat men jaise yaar hamare chale ga.e
ham zindagi ko aise guzare chale ga.e
jaise ki koi qarz utare chale ga.e
tum kya badal ga.e ki zamana badal gaya
ḳhush-qismati ke saare sitare chale ga.e
jo phal gire zamin pe vo yaron ne chun liye
ham pattharon ko peḌ pe maare chale ga.e
us ne baḌe fareb se har shart jiit li
ham bhi baḌe ḳhulus se haare chale ga.e
ab mausam-e-bahar bhi dene laga fareb
ankhon ki taab le ke nazare chale ga.e
vo kya ga.e ki ghazlen bhi be-jan ho ga.iin
sab ramz sab kina.e ishare chale ga.e
is se ziyada ham se ta.ayyush na ho saka
gaanv ga.e to nahr kinare chale ga.e
manzar-kashi kuchh aisi ki vaa.iz ne hashr ki
masjid ko ham bhi ḳhauf ke maare chale ga.e
un ki jafa vafa men na tabdil ho saki
ham jan-o-dil ki nazr guzare chale ga.e
ankhen khulin to dhuup thi har su vahi ‘suhaib’
ḳhvabon ke sab hasin nazare chale ga.e
Leave a Reply